Nadir Shahjahanpuri

luT gaya dil kahan nahin malum

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
luT gayā dil kahāñ nahīñ ma.alūm
kyā huā hai ziyāñ nahīñ ma.alūm
ab qafas meñ hī rahne de sayyād
thā kahāñ āshiyāñ nahīñ ma.alūm
tū hī aa kar sikhā de o bulbul
mujh ko tarz-e-fuġhāñ nahīñ ma.alūm
aap hī se faqat hai dilchaspī
aur dilchaspiyāñ nahīñ ma.alūm
vaa.e taqdīr kyā qayāmat hai
jaa.e dard-e-nihāñ nahīñ ma.alūm
yaad hone lagī kahāñ apnī
aa.iiñ kyuuñ hichkiyāñ nahīñ ma.alūm
mujh ko terī kahānī aatī hai
aur koī dāstāñ nahīñ ma.alūm
maiñ azal se fidā.ī huuñ jis kā
us kā nām-o-nishāñ nahīñ ma.alūm
pairav-e-'mīr' huuñ maiñ'' ai 'nādir'
ġhair ko ye zabāñ nahīñ ma.alūm
Top Urdushayar.com