Nadir Shahjahanpuri

mere miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
mire miTne pe gar tū bhī miTā hotā to kyā hotā
tujhe bhī sabr ai dil aa gayā hotā to kyā hotā
chale aate haiñ lākhoñ sarfaroshī kī tamannā meñ
tirā kūcha agar dārushshifā hotā to kyā hotā
adam se maiñ na aatā is jahāñ meñ ġham uThāne ko
agar hastī mujhe terā patā hotā to kyā hotā
tujhī pe munsifī hai le tū hī insāf se kah de
agar terī tarah maiñ bevafā hotā to kyā hotā
sitāre kyuuñ dikhātī mujh ko din bhar merī nākāmī
vo shab ko mal ke afshāñ aa gayā hotā to kyā hotā
sar-e-shorīda ko maiñ pattharoñ se phoḌtā phirtā
but-e-kāfir jo tū merā ḳhudā hotā to kyā hotā
sabāt us ko nahīñ phir bhī fidā hai hazrat-e-insāñ
jo ye dār-e-fanā dār-e-baqā hotā to kyā hotā
kisī ke paas rah kar bhī taḌapte hijr meñ 'nādir'
hameñ jannat meñ bhī kuchh aasrā hotā to kyā hotā
Top Urdushayar.com