Nadir Shahjahanpuri

kaun kahta hai gham musibat hai

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
kaun kahtā hai ġham musībat hai
ye bhī maulā kī ḳhaas rahmat hai
log kyuuñ zindagī pe marte haiñ
mere haq meñ to ye qayāmat hai
hīla-jūī hai us kī rahmat kī
kab ibādat koī ibādat hai
shukr ne.amat kā jab nahīñ kartā
kyuuñ musībat kī phir shikāyat hai
mujh se bad-tar bahut haiñ aalam meñ
qābil-e-rashk merī hālat hai
qalb-e-momin na ġham se ghabrā.e
sunte haiñ ba.ad-e-rañj rāhat hai
mujh se hotī nahīñ ġhazal 'nādir'
is qadar muzmahil tabī.at hai
Top Urdushayar.com