dil miT gayā to ḳhair zarūrat nahīñ rahī
hasrat ye rah ga.ī hai ki hasrat nahīñ rahī
ye dil badal gayā ki zamāna badal gayā
yā terī aañkh meñ vo muravvat nahīñ rahī
terī nazar ke saath badaltā rahā hai dil
do roz bhī to ek sī hālat nahīñ rahī
tar-dāmanī se haath na dho ai dil-e-hazīñ
kyā ab ḳhudā kī josh pe rahmat nahīñ rahī
dekhegā ḳhvāb meñ bhī na vo sūrat-e-sukūñ
jis ko ḳhudā se chashm-e-ināyat nahīñ rahī
un kī galī nahīñ hai na un kā harīm hai
jannat bhī mere vāste jannat nahīñ rahī
kis shab taḌap taḌap ke na kaaTī tamām shab
kis roz mere ghar pe qayāmat nahīñ rahī
'nādir' na aa.e harf tumhārī zabān par
vo sher kyā hai jis meñ fasāhat nahīñ rahī