Nadir Shahjahanpuri

koi us zalim ko samjhata nahin

Nadir Shahjahanpuri

1890-1963
koī us zālim ko samjhātā nahīñ
vo sitam karne se baaz aatā nahīñ
dasht-e-ġham meñ kab mirā naqsh-e-qadam
har qadam pe aañkh dikhlātā nahīñ
dard-e-furqat se zabāñ dāñtoñ meñ hai
kyā kahūñ kuchh bhī kahā jaatā nahīñ
chashm-e-dil se dekh use tū dekh le
chashm-e-zāhir se nazar aatā nahīñ
sabr-e-shauq-e-vasl-e-jānāñ kyā karūñ
par lagā kar bhī uḌā jaatā nahīñ
kab ḳhayāl-e-zulf meñ har raat ko
dil pe mere saañp lahrātā nahīñ
gul se nisbat kiyā tire ruḳhsār ko
ye to vo gul hai jo kumhlātā nahīñ
dard-e-furqat se hai ab hoñToñ pe dam
phir bhī zālim ko taras aatā nahīñ
jaan lī hai jalva-e-ruḳhsār ne
qabr kī zulmat se ghabrātā nahīñ
husn kī ḳhuddāriyāñ to dekhiye
be-ḳhudī meñ bhī vo haath aatā nahīñ
vo nahīñ aate to nādir kyā galā
hosh jab do do dopahar aatā nahīñ
Top Urdushayar.com