Salma shaheen

ai jaan-e-jaan tere mizaj ka falak bhi KHub hai

Salma shaheen

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1965
ai jān-e-jāñ tire mizāj kā falak bhī ḳhuub hai
thake thake se baam par hasīñ dhanak bhī ḳhuub hai
ajiib sehr hai tire hurūf-e-pāk-bāz meñ
tire mizāj-e-sho.ala baar kī lapak bhī ḳhuub hai
tire libās meñ basī haiñ jāñ-navāz ḳhushbueñ
mashām-e-jāñ hai itr-bez ye mahak bhī ḳhuub hai
nahīñ hai mo'atabar jo apnā vasf ḳhud bayāñ kare
ai jān-e-e'tibār us pe terā shak bhī ḳhuub hai
tujhe maiñ māntī huuñ hai tirā shu.ūr mo'atabar
tirī hasīn fikr kī chamak damak bhī ḳhuub hai
pasand haiñ nazar nazar ko jaañ tirī vajāhateñ
malīh ruḳh kī ye chamak namak damak bhī ḳhuub hai
samā.atoñ meñ hone lagtī hai ajiib raushnī
tirī sadā-e-nūr kī lapak jhapak bhī ḳhuub hai
Top Urdushayar.com