Salma shaheen

masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai

Salma shaheen

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1965
mas.ala husn-e-taḳhyyul kā hai na ilhām kā hai
ye fasāna zarā mushkil dil-e-nākām kā hai
rāt-din pahroñ-pahar us kī adā ke charche
ye tamāsha bhī mire vāste kis kaam kā hai
muskurāne lage har samt mohabbat ke charāġh
tere chehre kā tasavvur bhī baḌe kaam kā hai
suunī suunī thiiñ jo āñkheñ vo dobāra hans deñ
nazar aayā hai jo manzar vo usī shaam kā hai
is ta.alluq kā koī rañg na Dhalne paayā
tazkira sheroñ meñ ab bhī usī gulfām kā hai
le uḌiiñ zard havā.eñ mire ghar se ḳhushbū
bām-o-dar kyā haiñ darīcha mire kis kaam kā hai
fasl ho jaa.e to baḌhtī hai ḳhushī se duurī
aap kā qurb ye sach hai baḌe ārām kā hai
Top Urdushayar.com