shikār ho gayā vo ḳhud hī is zamāne kā
javāz DhūñD rahā thā mujhe miTāne kā
ye imtihān fan-e-āzarī se hai mansūb
tarāsh lījiye patthar koī Thikāne kā
kabhī rahā to nahīñ gardish-e-falak kā saath
kahāñ se sīkhā hai tum ne hunar satāne kā
mire ḳhulūs kā jis ko na e'tibār aayā
fareb khātā rahā umr bhar zamāne kā
jo ahl-e-dil haiñ vahī āzmā.e jaate haiñ
ajiib rañg hai qudrat ke kār-ḳhāne kā
jo a.alā zarf haiñ mālūm hai unheñ 'shāhīn'
salīqa chāhiye insāñ ko ġham uThāne kā