ham jhukāte bhī kahāñ sar ko qazā se pahle
vaqt ne dī hai sazā ham ko ḳhatā se pahle
apnī qismat meñ kahāñ raqs-e-sharar kā manzar
sham-e-jāñ bujh ga.ī dāman kī havā se pahle
ye alag baat ki manzil kā nishāñ koī na thā
kohsār aur bhī the koh-e-nidā se pahle
mudda.ā koī na thā tere sivā kyā karte
dil dhaḌaktā hī rahā harf-e-duā se pahle
rū-ba-rū us ke rahī aa.ina ban kar shāhīn
dekh le apnī nazar jurm-e-jafā se pahle
is kī āñkhoñ meñ ajab sehr hai 'salmā-shāhīn'
ho ga.ī huuñ maiñ shifāyāb davā se pahle