Salma shaheen

ab KHayalon ka jahan aur na aabaad karen

Salma shaheen

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1965
ab ḳhayāloñ kā jahāñ aur na ābād kareñ
ḳhvāb jo bhuul chuke haiñ unheñ bas yaad kareñ
thapkī de de ke sulāne kī hai aadat dil ko
ab kisī aur se kyuuñ ḳhud hī se fariyād kareñ
kitne mausam ke chhalāve se guzar kar pahuñchī
us Dagar pe ki jahāñ log mujhe yaad kareñ
ham bhī ab fikr-e-jahāñ chhoḌ ke jī bhar hans leñ
vaqt itnā bhī kahāñ hai jise barbād kareñ
zindagī yuuñ hī munazzam rahe aisā bhī nahīñ
ham na.ī tarz koī aur bhī ījād kareñ
dene vaale kī mashiyyat thī jo vahshat de dī
dil-e-vīrāñ jo milā hai use ābād kareñ
dil ke TuuTe hue TukḌoñ ko na joḌeñ 'shāhīn'
dil pe jo guzrī use bhuul ke mat yaad kareñ
Top Urdushayar.com