Salma shaheen

dhup pichha nahin chhoDegi ye socha bhi nahin

Salma shaheen

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1965
dhuup pīchhā nahīñ chhoḌegī ye sochā bhī nahīñ
ham vahāñ haiñ jahāñ dīvār kā saaya bhī nahīñ
jaane kyuuñ dil mirā bechain rahā kartā hai
milnā to duur rahā us ko to dekhā bhī nahīñ
aap ne jab se badal Daalā hai jiine kā chalan
ab mujhe talḳhī-e-ahbāb kā shikva bhī nahīñ
mai-kada chhoḌe hue mujh ko zamāna guzrā
aur saaqī se mujhe duur kā rishta bhī nahīñ
daam meñ rakhtā parindoñ kī uḌāneñ lekin
par katarne kā magar us ko salīqa bhī nahīñ
muskurāhaT meñ koī tanz bhī ho saktā hai
ye masarrat kī alam-dār ho aisā bhī nahīñ
laakh yādoñ kī taraf lauT ke jā.ūñ 'shāhīn'
parda-e-dil par ab us shaḳhs kā chehra bhī nahīñ
Top Urdushayar.com