use bhulā na sakī naqsh itne gahre the
ḳhayāl-o-ḳhvāb par mere hazār pahre the
vo ḳhush gumāñ the to jo ḳhvāb the sunahre the
vo bad-gumāñ the añdhere the aur gahre the
jo aaj hotī koī baat baat ban jaatī
use sunāne ke imkān bhī sunahre the
samā.atoñ ne kiyā raqs mast ho ho kar
sadā meñ us kī hasīñ biin jaise lahre the
hamāre dard kī ye dāstān suntā kaun
yahāñ to jo bhī the munsif vo saare bahre the
chale ga.e vo sharar bo ke is qabīle meñ
to qatl hone ko 'shāhīn' ham bhī Thahre the