maiñ hijr-zād huuñ mujhe sahrā dikhā.ī de
tū aañkh bhar ke dekhe to dariyā dikhā.ī de
aisā tilism-sāz hai gar phūñk maar de
saarā jahān aañkh ko andhā dikhā.ī de
ye ehtimām qatl kā kuchh is tarah se ho
maqtal kā rāsta mujhe sastā dikhā.ī de
us ko hī diin maan lo yuuñ bahs mat karo
jo bhī nabī kī pusht pe baiThā dikhā.ī de
is ko ḳhizāñ ke daur meñ bāġhī samajh ke chuum
jo bhī shajar pe āḳhirī pattā dikhā.ī de
yuuñ ban sañvar ke mil mujhe kuchh to ḳhayāl kar
aisā dikhā.ī de mujhe vaisā dikhā.ī de