Imran Rahib

lawn mein baiTha darwaze par dastak sun kar chaunk paDa

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
lawn meñ baiThā darvāze par dastak sun kar chauñk paḌā
kaun hai jis ne vahshat toḌī mujh sā patthar chauñk paḌā
terī yaad meñ rote rote shab bhar jaagā lekin phir
hichkī sun ke kachchī niiñd meñ soyā bistar chauñk paḌā
chalte chalte us kā āñchal chhū ke aisā guzrā hai
mere jism pe kaale rañg kī shirt kā collar chauñk paḌā
maiñ ne ḳhud pe mantar paḌh ke phūñkā taaki ishq na ho
lekin us kī niilī āñkheñ dekh ke mantar chauñk paḌā
dekh ke jugnū ke shāne par parcham yaar baġhāvat kā
din kī ghaat meñ baiThā shab kā vahshī lashkar chauñk paḌā
insānoñ ke kartab dekh ke 'rāhib' paas ke jañgal meñ
niim ke peḌ kī shāḳh pe baiThā naTkhaT bandar chauñk paḌā
Top Urdushayar.com