Imran Rahib

lahu mein KHak-e-shifa gundhne ki KHwahish thi

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
lahū meñ ḳhāk-e-shifā gūñdhne kī ḳhvāhish thī
mujhe husain se kuchh māñgne kī ḳhvāhish thī
vo jis pisar ke jigar meñ utar ga.ī barchhī
usī pisar ko javāñ dekhne kī ḳhvāhish thī
mirī talāsh mujhe karbalā meñ le aa.ī
mujhe zamīñ pe ḳhudā DhūñDne kī ḳhvāhish thī
jinhoñ ne luuTā thā maulā husain kā lāsha
unhīñ sināñ se ridā lūTne kī ḳhvāhish thī
maiñ dauḌtī rahī har tiir ke ta.āqub meñ
mujhe pidar kā galā chūmne kī ḳhvāhish thī
ḳhudā ke āḳhirī lashkar meñ bas bahattar the
ḳhudā ko karb-o-balā jītne kī ḳhvāhish thī
mire husain mujhe hur samajh muāfī de
mire husain mujhe lauTne kī ḳhvāhish thī
bujhā charāġh to parkhā junūñ bahattar kā
jinheñ lahū se ziyā bāñTne kī ḳhvāhish thī
furāt mashk meñ bhar ke ḳhiyām tak ġhāzī
na lauT paayā magar lauTne kī ḳhvāhish thī
sināñ kī nok pe dekho husain zinda hai
kaTā nahīñ hai jo sar kāTne kī ḳhvāhish thī
salām ashk kī ḳhushbū meñ oḌh kar 'rāhib'
dayār-e-karb-o-balā bhejne kī ḳhvāhish thī
Top Urdushayar.com