ab aap kah rahe haiñ ki chehra udaas hai
maiñ ne sunā thā aap kā kamra udaas hai
gardan hai ḳhud-kushī ke bahāne talāshtī
har roz mujh se kahtī hai pañkhā udaas hai
bārish meñ bhīgtī huī laḌkī ko kyā ḳhabar
fōtpath par paḌā huā chhātā udaas hai
koī na dekh paayā to bolā nahīñ koī
gūñgā hai bad-gumān to andhā udaas hai
paTrī pe leT jā.ūñgā sarvat nahīñ huuñ maiñ
par jāntā huuñ rail kā pahiya udaas hai
bargad kī shāḳh toḌ dī āñdhī ne pichhlī raat
is vāste to gaañv kā būḌhā udaas hai