Imran Rahib

gar chahte ho farsh se aflak pe rakkho

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
gar chāhte ho farsh se aflāk pe rakkho
ik baar mujhe phir se zarā chaak pe rakkho
ik barf kī sil qalb-e-pareshāñ pe utāro
ik dasht mire dīda-e-namnāk pe rakkho
tum ramz-e-shahādat ke ma.ānī nahīñ samjhe
sar nok kī sidra pe badan ḳhaak pe rakkho
lāzim hai ki chābuk se tarāsho mirā paikar
vājib hai ki tum tursh-ravī naak pe rakkho
phir pusht pe har ḳhvāb kī zanjīr-zanī ho
jab shām-e-ġharībāñ mirī poshāk pe rakkho
yuuñ qais ke rutbe kī ḳhabar honī hai 'rāhib'
sahrā ko agar shāna-e-idrāk pe rakkho
Top Urdushayar.com