agle pāñch dinoñ tak jiinā chāhtā huuñ
ro lūñgā par pahle hañsnā chāhtā huuñ
merī āñkhoñ ke ab paañv kāñpte haiñ
us ko maiñ jī bhar ke taknā chāhtā huuñ
maiñ sahrā huuñ kuchh badlāo lāzmī hai
ab maiñ dariyā ban kar bahnā chāhtā huuñ
duniyā vaalo āḳhir-kār turābī huuñ
maiñ hāthoñ par sūraj dharnā chāhtā huuñ
us ke har andāz ko sāñseñ de kar maiñ
us ke har andāz pe marnā chāhtā huuñ
bahrī nahīñ hai nok sināñ kī sun legī
sar huuñ aur tilāvat karnā chāhtā huuñ
jo tere pahlū par hai us gāgar se
izn mile to paanī piinā chāhtā huuñ
terā lams bhī dūsrā naam hai agnī kā
chhū le mujh ko ab maiñ jalnā chāhtā huuñ