maiñ saañs lete za.iif jismoñ meñ rah chukā huuñ
maiñ hādisa huuñ udaas logoñ meñ rah chukā huuñ
qadīm nasloñ ke ghar nahūsat kā devtā thā
jadīd nasloñ ke zard kamroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ nīm-murda asiir insāñ kā qahqaha huuñ
maiñ surḳh īñToñ ke ḳhūnī pinjroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ aisā sar huuñ jo dasht-e-ġhurbat meñ kaT gayā thā
maiñ sar-burīda shahīd lāshoñ meñ rah chukā huuñ
maiñ raajā gidh huuñ na dasht-zāda na mās-ḳhora
maiñ phir bhī bastī ke murda-ḳhoroñ meñ rah chukā huuñ
maiñ ism-e-āzam kā mo.ajiza huuñ maiñ nāḳhudā huuñ
maiñ chāñd tāroñ meñ aur ġhāroñ meñ rah chukā huuñ
yaqīn jaano ye mere bāloñ meñ gard dekho
maiñ shahr vaalā tumhāre gaañv meñ rah chukā huuñ
maiñ yaum-e-āshūr tishnagī kā sarāb ban kar
ḳhalīl-zādoñ ke ḳhālī kūzoñ meñ rah chukā huuñ