ghar se nikal ke shahr ke raste ko ghūrnā
phir ġham-zada sī nazm ke misre ko ghūrnā
do mashġhale aziiz haiñ is hijr-zād ko
bistar pe leTnā kabhī pañkhe ko ghūrnā
hargiz nahīñ huuñ maiñ nahīñ huuñ koī aur hai
pāgal sā aks dekh ke shīshe ko ghūrnā
dīvāngī ke ḳhauf se phir chīḳh chīḳh kar
kamre meñ jhāñkte hue bachche ko ghūrnā
kis haal jī rahā huuñ maiñ chāho jo jānñā
to dhuup meñ khaḌe hue paude ko ghūrnā
'rāhib' dukhoñ kī gard meñ lipTe sitam-zarīf
ashkoñ kā bojh jhelte takiye ko ghūrnā