shaal chhoTī hī sahī rakh lo baḌī Thiik nahīñ
tum pe nikhregī bahut ghar meñ paḌī Thiik nahīñ
maiñ ne pūchhā hai ki chaa.e ke liye vaqt koī
hañs ke bolī hai ishāre se ghaḌī Thiik nahīñ
ik tamāshā hai vo merī hai nahīñ merī hai
ye jo khiḌkī meñ hai doshīza khaḌī Thiik nahīñ
is mohalle meñ agar saañp Dase behtar hai
log kahte haiñ yahāñ aañkh laḌī Thiik nahīñ
jab bhī maktab meñ mujhe maar paḌe vo bole
ab to resham ho ye shīsham kī chhaḌī Thiik nahīñ
aisī bārish ho to 'rāhib' mujhe Dar lagtā hai
vo bhī bārish meñ ye kahtī thī jhaḌī Thiik nahīñ