Imran Rahib

saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
saste meñ un ko bhūlnā achchhā lagā hai aaj
chaa.e kā ek ghūñT bhī kaafī rahā hai aaj
rassī se jhūltī huī laḌkī nahīñ hai ye
ye nā-murād-e-ishq hai laTkā huā hai aaj
kis ne kahā hai ḳhair hai maiñ to nahīñ girā
vo to shajar se āḳhirī pattā girā hai aaj
jhagḌā huuñ bad-gumān se chīḳhā huuñ phone par
ye sātvāñ thā phone jo toḌā gayā hai aaj
dastak samajh ke dar pe tū yuuñ dauḌ ke na jā
kal bhī havā kā kaam thā phir bhī havā hai aaj
dariyā ko khīñch laane de sahrā ke darmiyān
maTkā ġharīb-zādī kā pyāsā paḌā hai aaj
dil but-kada rahā to tū pahlū-nashīn thā
ka.aba banā tū terī jagah pe ḳhudā hai aaj
'rāhib' zabān par mirī chhāle se paḌ ga.e
dekhā jo dar pe yaar ke taalā paḌā hai aaj
Top Urdushayar.com