Imran Rahib

husn ke waswase se bahar mil

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
husn ke vasvase se bāhar mil
tū mujhe aa.ine se bāhar mil
rakh bharam kuchh to be-libāsī kā
sharm ke dā.ere se bāhar mil
māvarā nazm kī ho bandish se
tū mujhe qāfiye se bāhar mil
vajd kī kaifiyat meñ chhū mujh ko
hosh ke dā.ere se bāhar mil
pyaar ke raag raag rahne de
ishq ke falsafe se bāhar mil
abr kī jhoñpaḌī se bāhar aa
ret ke qāfile se bāhar mil
khol na tāqche ko ujlat meñ
chain se hausle se bāhar mil
ḳhvāb kī bārgah meñ hāzir ho
niiñd ke zāviye se bāhar mil
khīñch le vaqt kī tanāboñ ko
jism ke fāsle se bāhar mil
kyā kahā jism nochnā hai tujhe
shaam ke hāshiye se bāhar mil
ḳhaak par pheñk de añgūThī ko
ghar ke is faisle se bāhar mil
dekh jā hijr kī musībat meñ
vasl ke hādse se bāhar mil
be-ḳhatar haath thaam 'rāhib' kā
ḳhauf ke silsile se bāhar mil
Top Urdushayar.com