Imran Rahib

ujaD ghar mein udas chehra tha yani main tha

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
ujaaḌ ghar meñ udaas chehra thā ya.anī maiñ thā
vo jis kī āñkhoñ meñ bahtā dariyā thā ya.anī maiñ thā
jo panting meñ hasīn laḌkī thī ya.anī tū thī
jo sar jhukā.e udaas laḌkā thā ya.anī maiñ thā
vo tū hai jis pe hai jhiil saif-ul-mulūk martī
vo jis kī muTThī meñ bāñjh sahrā thā ya.anī maiñ thā
tum apnī pahlī mohabbatoñ ke javāz chhoḌo
vo tīsrā pyaar jo tumhārā thā ya.anī maiñ thā
sunā hai titlī kā isti.āra ġhazal meñ tū thī
jo chāñd grahan kā isti.āra thā ya.anī maiñ thā
tū shāh-zādī aqiiq kā taḳht chāhtī thī
jo apnī hastī meñ bhūt-bañgla thā ya.anī maiñ thā
Top Urdushayar.com