pyaar kartī hai magar phir bhī mukar saktī hai
kyā bharosa hai kisī aur pe mar saktī hai
kyā samajhtī ho ki bāñdhā hai mujhe bandhan meñ
ye añgūThī hai mirī jaan utar saktī hai
chhūT saktī hai tire gaañv kī miTTī mujh se
ye qayāmat bhī kisī roz guzar saktī hai
chāñd ne jhiil ke bistar pe jo karvaT badlī
chāñdnī TuuT ke paanī meñ bikhar saktī hai
ham ne bas pyaar kiyā naam likhe sochā nahīñ
Diary peḌ kī badnām bhī kar saktī hai
ahd-e-kam-fahm kī ujlat hai ishāra 'rāhib'
raushnī chaak pe zulmat ko bhī dhar saktī hai