Imran Rahib

uski hasti qaza ki qaid mein hai

Imran Rahib

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1987
us kī hastī qazā kī qaid meñ hai
jo parinda havā kī qaid meñ hai
is se behtar hai yaar mar jā.ūñ
merā jiinā ḳhudā kī qaid meñ hai
shab se ḳhā.if hai niiñd kī titlī
ḳhvāb dast-e-hinā kī qaid meñ hai
dil mirī aañkh meñ dhaḌaktā hai

aañkh terī adā kī qaid meñ hai

sab qabīle haiñ ḳhuun ke pyāse
saarī bastī anā kī qaid meñ hai
chhoḌ kar phir se lauT aatā hai
tū mirī kis duā kī qaid meñ hai
vo ziyā ko bhī phūñk saktā hai
jo añdherā ziyā kī qaid meñ hai
vo hai āzād har havāle se
jo bashar karbalā kī qaid meñ hai
maiñ javānī meñ ho gayā būḌhā
ibtidā intihā kī qaid meñ hai
tum shifā DhūñDte ho duniyā meñ
aur vo ḳhāk-e-shifā kī qaid meñ hai
jaan 'rāhib' samā.atoñ kā hujūm
tirī andhī sadā kī qaid meñ hai
Top Urdushayar.com