laa.ī phir ik laġhzish-e-mastāna tere shahr meñ
phir baneñgī masjideñ mai-ḳhāna tere shahr meñ
aaj phir TūTeñgī tere ghar kī nāzuk khiḌkiyāñ
aaj phir dekhā gayā dīvāna tere shahr meñ
jurm hai terī galī se sar jhukā kar lauTnā
kufr hai pathrāv se ghabrānā tere shahr meñ
shah-nāme likkhe haiñ khañDarāt kī har iiñT par
har jagah hai dafn ik afsāna tere shahr meñ
kuchh kanīzeñ jo harīm-e-nāz meñ haiñ bāryāb
māñgtī haiñ jaan o dil nazrāna tere shahr meñ
nañgī saḌkoñ par bhaTak kar dekh jab martī hai raat
reñgtā hai har taraf vīrāna tere shahr meñ