itnā to zindagī meñ kisī ke ḳhalal paḌe
hañsne se ho sukūn na rone se kal paḌe
jis tarah hañs rahā huuñ maiñ pī pī ke garm ashk
yuuñ dūsrā hañse to kaleja nikal paḌe
ik tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-farāz hai
ik ham ki chal paḌe to bahar-hāl chal paḌe
saaqī sabhī ko hai ġham-e-tishna-labī magar
mai hai usī kī naam pe jis ke ubal paḌe
muddat ke ba.ad us ne jo kī lutf kī nigāh
jī ḳhush to ho gayā magar aañsū nikal paḌe