Qayoom Shakri

gul ko KHushbu chand ko uslub-e-tabani mile

Qayoom Shakri

gul ko ḳhushbū chāñd ko uslūb-e-tābānī mile
mere jazbe se jahāñ ko husn-e-lāfānī mile
ujlī ujlī sī fazā meñ rañg bikhre pyaar kā
husn-kāroñ ko mirā ehsās-e-tābānī mile
dev-qāmat paikaroñ se dil mirā ghabrā gayā
ab to yārab aam sī ik shakl-e-insānī mile
is hujūm-e-rañj-o-ġham meñ ik zarā sā zahr bhī
zindagī ko is tarah se shāyad āsānī mile
allāh allāh zindagī meñ inkisārī kā ye ruup
ahl-e-naḳhvat ko bhī ham bā-ḳhanda peshānī mile
vaqt ke katbe pe 'shākir' naam ho kanda tirā
ahl-e-duniyā ko koī tahrīr lāfānī mile
Top Urdushayar.com