har-qadam marhala-e-sabr-o-razā ho jaise
zindagī mārka-e-karb-o-balā ho jaise
yuuñ guzar jaate haiñ duniyā se adam ke raahī
rah meñ naqsh-e-qadam-e-rāh-numā ho jaise
chup hue jaate haiñ yuuñ dekh ke sūrat merī
haal merā mire chehre pe likhā ho jaise
is tarah kaaT rahā huuñ maiñ shab-e-roz-o-hayāt
har-nafas apne liye ek sazā ho jaise
dasht meñ jaltī haiñ tā-hadd-e-nazar yuuñ sham.eñ
sar-e-har-ḳhār pe ḳhūn-e-shohadā ho jaise
riñd jhijhke to balā-noshoñ ne mahsūs kiyā
mai nahīñ jaam meñ ḳhūn-e-ġhurabā ho jaise
yuuñ shafaq-rañg sī hai aaj gulistāñ kī zamīñ
barahna-pā koī kāñToñ pe chalā ho jaise
har zabāñ par mire miTne ke haiñ charche lekin
un ke nazdīk to kuchh bhī na huā ho jaise
aaj is andāz se aa.ī mujhe hichkī 'ājiz'
bhūlne vaale ne phir yaad kiyā ho jaise