Ajiz Matvi

hasraten aa aa ke jama ho rahi hain dil ke pas

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
hasrateñ aa aa ke jam.a ho rahī haiñ dil ke paas
kārvāñ goyā pahuñchne vaalā hai manzil ke paas
biich meñ jab tak thiiñ maujeñ un meñ shorish thī bahut
intishār un meñ huā jab aa ga.iiñ sāhil ke paas
nazr-e-qātil jaan jab kar dī to baaqī kyā rahā
ab taḌapne ke alāva hai hī kyā bismil ke paas
ġharq kar deñ merī kashtī phir ye maujeñ dekhnā
hashr tak paTkā kareñgī apnā sar sāhil ke paas
bhiik denā to kujā kaasa bhī us ne le liyā
maiñ ab ik hasrat-zada huuñ kyā hai mujh saa.il ke paas
ek ham haiñ ham ne kashtī Daal dī gardāb meñ
ek tum ho Darte ho aate hue sāhil ke paas
ḳhair ho 'ājiz' kahīñ aisā na ho dil Duub jaa.e
ishq ke dariyā meñ halchal ho rahī hai dil ke paas
Top Urdushayar.com