maiñ iztirāb meñ huuñ shaam se sahar ke liye
koī charāġh atā kar de rāt-bhar ke liye
ḳhudā bachā.e tumheñ aisī-vaisī nazroñ se
gale meñ Daal lo ta.avīz tum nazar ke liye
qafas-nasīb haiñ nā-āshnā-e-āzādī
ye qaid ek chunautī hai bāl-o-par ke liye
nigāh-e-barq meñ vo ḳhaar se khaTakne lage
jo tinke jam.a kiye ham ne apne ghar ke liye
masīh-e-vaqt to aisī nafas sahī lekin
ilaaj hai koī zaḳhm-e-dil-o-jigar ke liye
tumhāre husn-o-adā ke hamīñ shikār nahīñ
na jaane kitnoñ ke dil tum ne ban-sañvar ke liye
tamām-umr añdhere meñ kaT ga.ī yārab
koī charāġh atā kar hamāre ghar ke liye
kisī ke sāmne sar ḳham karūñ maiñ kyuuñ 'ājiz'
banī hai merī jabīñ un ke sañg-e-dar ke liye