Ajiz Matvi

hon tumko mubarak lal-o-gohar hum le ke ye daulat kya karte

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
hoñ tum ko mubārak la.al-o-gohar ham le ke ye daulat kyā karte
har shai ko fanā honā hai agar to dhan se mohabbat kyā karte
sad shukr vo the mā.il-ba-karam mar.ūb the ro.ab-e-husn se ham
un se ahvāl-e-dil-e-pur-ġham kahne kī jasārat kyā karte
ham sahte rahe zulm aur jafā ye soch ke muñh se kuchh na kahā
Taltā hai kahīñ qismat kā likhā phir un se shikāyat kyā karte
zāhir meñ karam par maa.il haiñ aadā kī safoñ meñ shāmil haiñ
apne hī hamāre qātil haiñ ġhairoñ se shikāyat kyā karte
kyuuñ Dar se na hotā chehra dhuul shīshe kā hamārā jo thā makāñ
jo sañg-ba-kaf aa.e the yahāñ ham un se baġhāvat kyā karte
ye kaam thā bas tum se mumkin majbūr rahe 'ājiz' har chhan
tum ne to shikāyat kī lekin ham tum se shikāyat kyā karte
Top Urdushayar.com