dard-e-musalsal se aahoñ meñ paidā vo tāsīr huī
aksar chāragaroñ kī hālat mujh se sivā gambhīr huī
kyā jaane kyuuñ mujh se merī bargashta taqdīr huī
mamlikat-e-aish aañkh jhapakte hī ġham kī jāgīr huī
us ne mere shīsha-e-dil ko dekh ke kyuuñ muñh moḌ liyā
shāyad is ā.īne meñ us ko zāhir koī lakīr huī
jab bhī likkhā hāl-e-dil-e-muztar maiñ ne us ko raat ga.e
tā-ba-sahar ashk-afshānī se zaa.e.a vo tahrīr huī
baḌhtī jaatī hai dūrī-e-manzil jab se junūñ ne chhoḌā saath
ab to ḳhirad har gaam par apne pairoñ kī zanjīr huī
mujh ko atā karte vo yaqīnan merī talab se sivā lekin
ḳhuddārī meñ haath na phailā sharm jo dāman-gīr huī
kis ko ḳhabar hai un kī galī meñ kitne diloñ kā ḳhuun huā
ra.anā.ī meñ un kī galī jab vādī-e-kashmīr huī
un se karūñ iz.hār-e-tamannā sochā rakh kar uzr-e-junūñ
lekin vo bhī raas na aayā lā-hāsil tadbīr huī
Tap-Tap aañkh se aañsū Tapke 'ājiz' āh-e-sard ke saath
mere sāmne nazr-e-ātish jab merī tasvīr huī