Ajiz Matvi

kabhi ahl-e-mohabbat yun na KHauf-e-jism-o-jaan karte

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
kabhī ahl-e-mohabbat yuuñ na ḳhauf-e-jism-o-jāñ karte
agar shaiḳh-o-barahman jashn-e-nāqūs-o-azāñ karte
navāzish kaash mujh par itnī mere mehrbāñ karte
kabhī dil kī tasallī ke liye bhūle se haañ karte
hamāre jazba-e-tāmīr se hote agar vāqif
to sadiyoñ barq ke sho.ale tavāf-e-āshiyāñ karte
fasurda yuuñ na hote ġhuncha-o-gul mausam-e-gul meñ
agar dil se chaman kī ābiyārī bāġhbāñ karte
naved-e-fasl-e-gul aate haiñ dil apnā taḌap uTThā
asīr-e-ġham haiñ varna ham bhī sair-e-gulistāñ karte
fazā-e-sāhil-e-ummīd agar kuchh raas aa jaatī
to ham kyuuñ nazr-e-tūfāñ kashti-e-umr-e-ravāñ karte
hameñ bhī mil ga.ī hotī sanad manzil-shanāsī kī
salīqe se agar taqlīd mīr-e-kārvāñ karte
kabhī bād-e-sabā ban kar kabhī jārūb-kash ho kar
tamannā thī musalsal ham tavāf-e-āstāñ karte
thā chup rahnā hī behtar un kī bazm-e-nāz meñ 'ājiz'
koī ġham-āshnā hotā to sharh-e-dāstāñ karte
Top Urdushayar.com