yuuñ tujh se duur duur rahūñ ye sazā na de
ab aur zinda rahne kī mujh ko duā na de
ab ehtiyāt-e-shiddat-e-girya na pūchhiye
Dartā huuñ maiñ vo sun ke kahīñ muskurā na de
lo maiñ ne dil kī us se lagā.ī to hai magar
Dar hai ye sham-e-ġham kahīñ dāman jalā na de
kahnā to hai mujhe bhī hadīs-e-ġham-e-hayāt
lab kholne kī kaash ijāzat zamāna de
ho bijliyoñ kā mujh se jahāñ par muqābla
yā-rab vahīñ chaman meñ mujhe āshiyāna de
us dene vaale ke yahāñ kis shai kī hai kamī
tum māñgne kī tarah jo māñgo to kyā na de
hassās maiñ bahut huuñ na lag jaa.e dil ko Thes
mahfil meñ muskurā ke mujhe yuuñ sadā na de
maiñ āshna-e-dard-o-ġham-e-dil huuñ chāra-gar
jis se ifāqa ho mujhe aisī davā na de
'ājiz' tamām umr maiñ khātā rahā fareb
mujh ko mirī vafāoñ kā aisā sila na de