Ajiz Matvi

hangama kyun bapa hai zara baam par se dekh

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
hañgāma kyuuñ bapā hai zarā baam par se dekh
shole buland hote haiñ ye kis ke ghar se dekh
bikhreñ na ye zamīñ pe kahīñ chashm-e-tar se dekh
palkoñ tak aa ga.e haiñ jo chal kar jigar se dekh
ai dost pairvī-e-kalīmāna hai abas
jalvoñ ko us ke tū nigah-e-mo.tabar se dekh
yuuñ sar uThā ke dekh na tū jānib-e-falak
ye tāj-e-tamkanat na gire tere sar se dekh
is tarah hai ġhamoñ ko mire dil se rasm-o-rāh
jis tarah rabt rakhte haiñ saa.e shajar ke dekh
apnī nazar se dekh tahī-dastī-e-sadaf
dariyā kā zarf kyā hai ye chashm-e-guhar se dekh
insān hādsāt se kitnā qarīb hai
tū bhī zarā nikal ke kabhī apne ghar se dekh
'ājiz' ye qaul apne buzurgoñ kā yaad rakh
rasta kabhī na chhoḌnā dushman ke Dar se dekh
Top Urdushayar.com