Ajiz Matvi

kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
kyuuñ kahūñ koī qad-āvar nahīñ aayā ab tak
haañ mire qad ke barābar nahīñ aayā ab tak
ek muddat se huuñ maiñ sīna-sipar maidāñ meñ
hamla-āvar koī baḌh kar nahīñ aayā ab tak
ye to dariyā haiñ jo aape se guzar jaate haiñ
josh meñ varna samundar nahīñ aayā ab tak
hoñge manzil se ham-āġhosh ye ummīd bañdhī
rāste meñ koī patthar nahīñ aayā ab tak
kyā zamāne meñ koī gosh-bar-āvāz nahīñ
koī bhī dil kī sadā par nahīñ aayā ab tak
jaane kyā baat hai saaqī ki tirī mahfil meñ
jo gayā baḌh vo palaT kar nahīñ aayā ab tak
intihā ye hai ki pathrā ga.iiñ āñkheñ apnī
sāmne vo parī-paikar nahīñ aayā ab tak
kyā karishma hai dur-e-ashk-e-mohabbat apnā
sadaf-e-chashm se bāhar nahīñ aayā ab tak
muntazir huuñ maiñ kafan bāñdh ke sar se 'ājiz'
sāmne se koī ḳhanjar nahīñ aayā ab tak
Top Urdushayar.com