bahāroñ se ḳhizāñ tak yūñhī sair-e-gulistāñ kar ke
rafū karte rahe ham jeb-o-dastāñ dhajjiyāñ kar ke
milegā kyā tujhe sayyād mujh ko be-zabāñ kar ke
sukūn-e-qalb miltā hai mujhe āh-o-fuġhāñ kar ke
chaman ko raushnī dī nazr-e-ātish āshiyāñ kar ke
kiyā ye tajraba ham ne ghar apnā rā.egāñ kar ke
haqīqat meñ karam tum ne kiyā hai haq-shanāsoñ par
har ik ko vāqif-e-rasm-e-jabīn-o-āstāñ kar ke
uThā paa.e na ham lutf-e-bahārāñ mausam-e-gul meñ
kahāñ gum ho ga.ī parvāz qaid-e-āshiyāñ kar ke
ab aisī zindagī se maut aa jaatī to behtar thā
huī taz.hīk apnī dāstān-e-dil bayāñ kar ke
agar tafsīl se kahtā to vo shāyad samajh jaate
maiñ ab pachhtā rahā huuñ iḳhtisār-e-dāstāñ kar ke
bhaTakte rahte yūñhī aur na paate umr-bhar manzil
baḌā ehsāñ kiyā tum ne sharīk-e-kārvāñ kar ke
samajh meñ aa ga.ī un kī ḳhas-o-ḳhāshāk kī azmat
ga.ī haiñ bijliyāñ āḳhir tavāf-e-āshiyāñ kar ke
zahe mashq-e-tasavvur ham unheñ dekhā hī karte haiñ
chhupeñ chāhe jahāñ vo parda-hā-e-darmiyāñ kar ke
samundar phir hilore legā tahzīb-o-tamaddun kā
zarā dekho to 'ājiz' shāmil-e-urdu-zabāñ kar ke