kuchh sāzgār jab mire hālāt bhī nahīñ
aise meñ mere sar pe tirā baat bhī nahīñ
mushtāq-e-dīd bhī nahīñ ye tarfa baat hai
dil meñ ḳhayāl-e-tark-e-mulāqāt bhī nahīñ
kahtā nahīñ maiñ aap ko begāna-ḳhū magar
pahle sī mujh pe lutf-o-ināyāt bhī nahīñ
mujh ko banāyā mumlikat-e-ġham kā tājdār
aur mere lab pe shukr ke kalmāt bhī nahīñ
kis se karūñ ummīd maiñ hājat-ravā.ī kī
juz tere koī qibla-e-hājāt bhī nahīñ
saaqī ne bhī mujhe nazar-andāz kar diyā
mujh par nigāh-e-mīr-e-ḳharābāt bhī nahīñ
'ājiz' huuñ ḳhat likhūñ to unheñ kis tarah likhūñ
kāġhaz nahīñ qalam nahīñ dāvāt bhī nahīñ