Ajiz Matvi

ek bar apna zarf-e-nazar dekh lijiye

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
ik baar apnā zarf-e-nazar dekh lījiye
phir chāhe jis ke aib-o-hunar dekh lījiye
kyā jaane kis maqām pe kis shai kī ho talab
chalne se pahle zād-e-safar dekh lījiye
ho jā.egā ḳhud aap ko ehsās be-ruḳhī
gar aap merā zaḳhm-e-jigar dekh lījiye
sab kī taraf hai aap kī chashm-e-navāzishāt
kaash ek baar aap idhar dekh lījiye
taare maiñ toḌ lā.ūñgā ākāsh se magar
shafqat se aap bāzū-o-par dekh lījiye
jamhūriyat kā dars agar chāhte haiñ aap
koī bhī sāya-dār shajar dekh lījiye
ho jā.egī haqīqat-e-shams-o-qamar ayaañ
un ko nigāh bhar ke agar dekh lījiye
ye barq-e-hādisāt bhī kyā zulm Dhā.egī
uThne lage guloñ se sharar dekh lījiye
'ājiz' chalī haiñ aisī ta.assub kī āñdhiyāñ
ujḌe hue nagar ke nagar dekh lījiye
Top Urdushayar.com