Ajiz Matvi

jab kabhi madd-e-muqabil wo ruKH-e-zeba hua

Ajiz Matvi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1932
jab kabhī madd-e-muqābil vo ruḳh-e-zebā huā
ā.īna bhī rah gayā hairat se muñh taktā huā
fasl-e-gul meñ hai shikast-o-reḳht kā ā.īna-dār
ek ik tinkā nasheman kā mire bikhrā huā
mahv-e-hairat huuñ ḳharāsh-e-dast-e-ġham ko dekh kar
zaḳhm chehre par haiñ yā hai ā.īna TuuTā huā
abr-e-ġham barse to ashkoñ kī ravānī dekhnā
sāhil-e-mizhgāñ pe hai tūfāñ abhī Thahrā huā
iḳhtilāf-e-zehn-e-fitrat zindagānī kā sarāb
ishtirāk-e-bāhamī hī maujib-e-dariyā huā
jab maiñ un se kah chukā apnī hadīs-e-rañj-o-ġham
un kī shoḳhī dekhiye kahne lage par kyā huā
maiñ samajh paayā na 'ājiz' ye tilism-e-rāhbar
har qadam par manzil-e-maqsūd kā dhokā huā
Top Urdushayar.com