maujūd haiñ vo bhī bālīñ par ab maut kā Talnā mushkil hai
ik-tarfa kashākash naza.a meñ hai dam kā bhī nikalnā mushkil hai
anjāne meñ jo be-rāh chale vo raah pe aa saktā hai magar
be-rāh chale jo dānista bas us kā sambhalnā mushkil hai
zāhir na sahī dar-parda sahī dushman bhī hifāzat karte haiñ
kāñTe hoñ nigahbāñ jis gul ke us gul kā masalnā mushkil hai
haiñ ishq kī rāheñ pechīda manzil pe pahuñchnā sahl nahīñ
raste meñ agar dil baiTh gayā phir us kā sambhalnā mushkil hai
āġhāz-e-mohabbat meñ 'ājiz' ruktī na thī mauj-e-ashk-e-ravāñ
anjām ab in ḳhushk āñkhoñ se ik ashk nikalnā mushkil hai