qalam ho jaa.e sar parvā na karnā
amīr-e-shahr ko sajda na karnā
kiyā tark-e-ta.alluq tum ne behtar
magar us kā kahīñ charchā na karnā
mujhe turbat meñ az-had āfiyat hai
masīhā ab mujhe zinda na karnā
baḌhātā hai kasal dūrī-e-manzil
ḳhayāl-e-vus.at-e-sahrā na karnā
kaThin ho jā.egī manzil-shanāsī
kabhī masḳh un kā naqsh-e-pā na karnā
mohabbat meñ ye hai dastūr-e-duniyā
zarā sī baat ko ifshā na karnā
ye hai ab ik tarīqa guftugū kā
kisī ke sāmne lab vā na karnā
tumhāre muñh pe vo sach bol degā
muqābil apne ā.īna na karnā
munāsib hai ki 'ājiz' tauba kar lo
na taz.hīk-e-mai-o-mai-ḳhāna karnā