har-sū jahāñ meñ shaam o sahar DhūñDte haiñ ham
jo dil meñ ghar kare vo nazar DhūñDte haiñ ham
in bastiyoñ ko phūñk ke ḳhud apne haath se
apne nagar meñ apnā vahī ghar DhūñDte haiñ ham
juz reg-zār kuchh bhī nahīñ tā-hadd-e-nigāh
sahrā meñ sāya-dār shajar DhūñDte haiñ ham
taslīm hai ki juḌtā nahīñ hai shikasta dil
phir bhī dukān-e-ā.īna-gar DhūñDte haiñ ham
jis kī adā adā pe ho insāniyat ko naaz
mil jaa.e kaash aisā bashar DhūñDte haiñ ham
kuchh imtiyāz-e-maz.hab-o-millat nahīñ hameñ
ik mo'tabar rafīq-e-safar DhūñDte haiñ ham
is daur meñ jo fan ko hamāre parakh sake
vo sāhab-e-zabān-o-nazar DhūñDte haiñ ham
haath aa.egā na kuchh bhī ba-juz sañg-e-be-bisāt
uthle samundaroñ meñ guhar DhūñDte haiñ ham
'ājiz' talāsh-e-sham.a meñ parvāne mahv haiñ
hairat unheñ hai un ko agar DhūñDte haiñ ham