jaam to jaam mai-e-hosh-rubā bhī badlī
saath hī rindoñ ke piine kī adā bhī badlī
fasl-e-gul badlī sabā badlī fazā bhī badlī
aap badle to gulistāñ kī havā bhī badlī
TuuT jā.egā yaqīnan dil-e-mai-ḳhvār agar
nigah-e-sāqī-e-mai-ḳhāna zarā bhī badlī
bazm-e-yārāñ meñ sadā se mujhe pahchāntā kaun
mere hālāt jo badle to sadā bhī badlī
aaj tak us ne to va.ada koī iifā na kiyā
jaane kyā soch ke phir shart-e-vafā bhī badlī
hone lagtā hai kuchh ehsās shikast-e-tauba
bāda-ḳhāne pe agar chhā.ī zarā bhī badlī
vaqt ke saath badal jaatī hai har shai 'ājiz'
aap to badle magar ḳhū-e-jafā bhī badlī