jahāñ na dil ko sukūn hai na hai qarār mujhe
ye kis maqām pe le aa.ī yād-e-yār mujhe
ye baat sach hai maiñ barg-e-ḳhizāñ-rasīda huuñ
magar salām kiyā kartī hai bahār mujhe
sitam ye hai vo kabhī bhuul kar nahīñ aayā
tamām umr rahā jis kā intizār mujhe
bas apne-āp sañvarnā bhī koī baat huī
tū apnī zulf kī sūrat kabhī sañvār mujhe
abas hai dosto tashrīh-e-vāda-e-fardā
ab is kā zikr bhī hotā hai nāgavār mujhe
tamām umr jhulastā rahā maiñ sahrā meñ
kahīñ shajar nazar aayā na sāya-dār mujhe
bahār-e-nau ye haqīqat hai yā fareb-e-nigāh
libās-e-gul nazar aatā hai taar taar mujhe
gunāh jis se na sarzad huā ho ai 'ājiz'
usī ko haq hai vo kah de gunāhgār mujhe