hai rāh-rau ke hue hādsāt kī dīvār
girā.e kaun ye gard-e-hayāt kī dīvār
sahar hamāre muqaddar se duur hotī ga.ī
buland hotī ga.ī roz raat kī dīvār
miTe jo ye hadd-e-fāsil to aap tak pahuñcheñ
hamāre biich meñ haa.il hai zaat kī dīvār
anā anā ke muqābil hai raah kaise khule
ta.alluqāt meñ haa.il hai baat kī dīvār
na jaane kaun se jhoñke meñ gir paḌe 'kaifī'
shikasta hone lagī hai hayāt kī dīvār