bikhar ke ret hue haiñ vo ḳhvāb dekhe haiñ
mirī nigāh ne kitne sarāb dekhe haiñ
sahar kaheñ to kaheñ kaise apnī sub.hoñ ko
ki raat ugalte hue āftāb dekhe haiñ
koī bhī rut ho milī hai dukhoñ kī fasl hameñ
jo mausam aayā hai us ke itaab dekhe haiñ
maiñ bad-gumān nahīñ huuñ magar kitāboñ meñ
tumhāre naam ka.ī intisāb dekhe haiñ
kabhī kī ruk ga.ī bārish guzar chukā sailāb
ka.ī ghar ab bhī magar zer-e-āb dekhe haiñ
koī hamārī ġhazal bhī mulāhiza karnā
tumhāre ham ne ka.ī intiḳhāb dekhe haiñ
panāh DhūñDte guzrī hai zindagī 'kaifī'
jhulastī dhuup meñ saa.e ke ḳhvāb dekhe haiñ