tamām aalam se moḌ kar muñh maiñ apne andar samā gayā huuñ
mujhe na āvāz de zamāne maiñ apnī āvāz sun rahā huuñ
tazād-e-hastī kā falsafa huuñ uruuj o pastī kā aa.inā huuñ
uThā huā ik ġhurūr-e-sar huuñ miTā huā ek naqsh-e-pā huuñ
ho kyā ta.ayyun mirī hadoñ kā shumār kyā merī vus.atoñ kā
hazāroñ aalam base haiñ mujh meñ maiñ behad-o-be-karāñ ḳhalā huuñ
azāb-e-ehsās-o-āgahī ke vo dil-shikan ḳhvāb-pāsh lamhe
hazār ā.īne TūTte haiñ maiñ jab bhī ā.īna dekhtā huuñ
maiñ nā-shunīda sadā-e-sahrā banūñgā āvāz-e-vaqt 'kaifī'
zabān-e-ālam pe ā.ūñgā kal maiñ aaj ik harf-e-nārsā huuñ